Na Tu Aaya Na Tera Koi Paigham Aaya!

Duniya bhar se mujhe paigham aaye.

Bas sirf ek tera he paigham na aaya.

Ye kaisi mohabbat tune banai, ya Khudaya.

Baithi rahi aasre me mai tere un alfaaz ke.

Na tu aaya na tera koi paigham aaya.

Read more about Na Tu Aaya Na Tera Koi Paigham Aaya!

Pashtawa – Broken Heart Shayari!

​ Yaad aata hai jab tera rookhapan, Jab satata hai ye soonapan. Darte hain narazgi me utha na dein koi aisa kadam, Ke tu bhi pashtaye or pashtaye hum. A2fa  ©

Tere bina jeena, jeena kaise hoga..

Tere bina jeena, jeena kaise hoga!

Tere bina jeena, jeena kaise hoga.. Tujhe bhulana aasan nahi hoga.. Teri yaadon se peecha chudana aasan nahi hoga.. Aye saman, tu he bata.. Tere bina jeena, jeena kaise hoga.. A2fa ©

Teri Yaad!

Yaaron ki yaari, Kaam ki masrufiyat. Kuch na mita sake, Teri yaadon ke chehre. A2fa ©

Teri Wafa!

Teri wafa se hum wafa kar na sake.. Tune jo kiya tha bharosa usse pura kar na sake.. Mere pyaar ki gehrai se gehri thi teri mohabbat.. Us gehrai tak hum pohach na sake.. A2fa ©

Dil Dukhta Hai!

Dil Dukhta Hai Teri Baaton Se.. Lakin Hum To Phir Bhi Khush Hain.. Dil Dukhane Ke Bahane He Sahi.. Tu Baat To Karta Hai Humse.. A2fa ©

Bas Ek Sauda Karti Jaana….

Usne kaha mujhse, aaye meri jaan, tumhe itni yaad aati hai uski to jao mil aao usse…. Meri taraf se ijazat hai tumhe…. Lakin jaane se pehle ek sauda karti jana…. Maine pucha kaisa sauda…. Usne kaha,beshak mil aao, lakin uske baad uski yaadein uske pass he chodh kar aana…. Read more about Bas Ek Sauda Karti Jaana….

Why Don’t You Understand?

Kash ke koi hota jo mujhe bhi samajhta.. Or kabhi bade pyaar se apni baatein bhi samjhata.. Kash ke mere dil ki baat bhi koi sunta.. Or kuch apni bhi sunata.. Dil to mere pass bhi hai ek.. Par samajhta kahan hai koi uski taqleef.. Na jaane kab samjhoge aap meri dosti ko.. Na jaane […]

Bewafaai!

Hamari wafa me bhi wo baat na thi jo unki bewafaai me thi. Hum wafa karke bhi unko paa na sake. Unki bewafaai ke bawajood bhi unko bhula na sake. A2fa ©

Aadat Nahi Hai Na Itni Khushiyon Ki…

Aadat nahi hai na itni khushiyon ki..
To ab dar lagta hai..
Kahi ye khushiyan jhooti na ho..
Kahi ye sab ek khwab to nahi..

Dar lagta hai kahi aisa na ho ke meri aankh khule aur mai kahu ke “Kash ye sab sach hota.”
Kahi aisa na ho ke meri aankhon me ye jo khushiyon ki nami h wo gham ke aansuon me badal jaye.. Read more about Aadat Nahi Hai Na Itni Khushiyon Ki…

%d bloggers like this: